🌸 Navratri Day 2 - Maa Brahmacharini🌸
Navratri ke doosre din Maa Brahmacharini ki pooja ki jaati hai. Maa Brahmacharini tapsya aur sanyam ki devi hai. Maa ke hath me kamandal aur mala hoti hai, aur unki upasana se man ko shaanti dhairya aur sahi disha milti hai.
Is din Maa ke bhakti se sukh - sampati, shanti aur safalta prapt hoti hai. Chaliye aaj maa Brahmacharini ka bhajan milkar gaate hai.
Maa Brahmacharini Bhajan
Jai Jai Brahmacharini Maa, Jai Jai Brahmacharini Maa
Bhakton ke dukh door kro ,tum ho sukh dataa Maa.
Tapasya ka roop tumhara, kamandal haath mein pyaara,
Jap mal ki shobha bhari, Maa ho shakti saara .
Jai Jai Brahmacharini Maa, Jai Jai Brahmacharini Maa
Bhola Bhandari tumse, khush hain tum unki aradhika
Prem bhakti se jo shraddha se gaave, paave mukti ka saadhika
Tyaag aur tap ka prateek, Maa tum go jag ki aadhar,
Sevak jo shraddha se gaave paave sukh apaar
Jai Jai Brahmacharini Maa, Jai Jai Brahmcharini Maa
Tumse shuru har tapsya, tumse hi shakti aayi
Tumse hi milti hai bhakti, tumse hi mukti paayi
jo bhi tumahar naam le, Maa uske sab rog mitaye
Mann ke paap mit jaye jeevan me uj jiyara ho jaye
Jai Jai Brahmacharini maa Jai, Jai Brahmacharini Maa
Bhakto ke dukh kro tum ho sukh daata Maa
Is Navratri Maa ke bhajan gaakar, aapne jeevan ko unnati aur Shanti ki disha mein le jaayein.

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें