Page

सोमवार, 10 नवंबर 2025

Shiv Tandav Stotram Lyrics in Hinglish with Meaning | Somvaar ke din pdhe " Ravan Rachit" stotram

 Shiv Tandav Stotram - History,Mahima aur Mahatva

Shiv Tandav Stotram ek aisa adbhut stotra hai jo Bhagwan Mahadev ke tandav nritya ka varnan karta hai -

woh nritya jisme srishti, sthiti aur sanhaar, teeno ka tattva samaya hua hai.

Is stotram ko Lankapati Ravan ne likha tha, jo Bhagwan Shiv ke sabse bade bhakton me se ek tha. Kaha jata hai ki jab Ravan ne apni shakti aur ahankaar me aakar Kailash Parvat uthane ki koshish ki , to parvat ke niche uske haath dab gaya. Tab usne dard me bhi bhakti ka roop dharan kar liya- aur unhi palon me uske mukh se ye Shiv Tandav Stotram nikla tha, jo aaj bhi Mahadev ke bhakton ke liye sabse pavitra stotra maana jaata hai.

Ye stotram Mahadev ke roop, shakti ke rahasya ko bayaan karta hai. Somvaar ke din ya Mahashivratri par is stotram ke paath karna Man ke shant, negative evergy ko door, aur aatmik bal ko majboot karta hai.

Har shabd me "Om Namah Shivaay" ki tarah ek kampan hai - Jo bhakt ke hriday aur urja dono bhar deta hai.

  • Composer: Ravan
  • Devta: Bhagwan Shiva
  • Language: Sanskrit
  • Best day to read: Somvar (Monday)
  • Benefits: Shanti, Raksha
Shlok 1

Jata tavi galaj jala pravaha pavita sthale,
Gale valambya lambitam bhujanga tunga
malikam!
Damad damad damad daman ninad vadya 
marvayam, 
Chakara chand tandavam tanotu nah shivah
shivam ||1||

Meaning:

Shiv ji ke jata se behne wali Ganga dharti ko pavitra karti hai. Unke gale me saanp ki lambi mala hai, aur ve damru ke dhun par tandav kar rahe hain. Wo shiv hamesha hum sabko shukh aur shanti dein.

Shlok 2

Jata kataha sambhrama bhraman nilimpa nirjhari,
Vilola veechi vallari virajman murdhani
Dhagad dhagad dhagaj jvalal patta pavake,
Kishora chandra shekhare ratih pratikshanam
mama ||2||

Meaning:

Shiv ji ke mastak par Ganga ke lehrain khel rahi 
hain,
Unke lalat se nikli agni jal rahi hai,
aur unke sir par chhota Chand(Kishor Chandra)
Virajman hai.
Mera man unke roop par sada sthir rahe.

Shlok 3

Dharadharenra nandini vilasa bandhu bandhura,
Sphurad diganta santati pramoda mana manase!
Krupa Kataksha dhorani niruddha durdhara padhi,
kvachid digamvare mano vinodametu vastuni ||3||

Meaning:

Jo Parvati ke saath kailash par nivas karte hain,
jin ke kripa drishti se sab dukh door ho haate hain,
Un digamabar Shiv me mera man sada ananad
 paaye.

Shlok 4

Jata bhujanga pingala sphurat phana mani
prabha
kadamba kunkum drava pralipta digva dhu
mukhe|
Madantha sindhur sphrut tvah uttariyam edure,
Mano vinod madbhutam bibhartu bhuta bhartarii ||4||

Meaning:

Shiv ji ke shareer par chandan aur kumkum ki 
sugandh hai,
Unke saanp ke mani chamak rahe hain,
aur ve bhuton ke swami hain- unka roop man 
ko anand deta hai.

Shlok 5

Sahasra lochana pravrutya shesha lekha 
shekhara,
Prasoon dhooli dhorani vidhusar angri
peethabhuh|
Bhujanga raja malaya nibaddha jata jootakah,
Shriyai chiray jayataam chakora bandhu 
shekharah ||5||

Meaning:

Devata jin ke charanon par pushp chadhate hain,
jin ke sir par saanpon ki mala hai,
aur jinke sir par Chandrama virajmaan hai,
wo Shiv humare jeevan me sada mangal laayein.


Shiv Tandav Stotram sirf ek prathana nahi, balki shiv ki urja ka anubhav hai.
Jo bhi bhakt ise bhakti bhav se padhra hai, uske andar se bhay aur andhkaar door ho jaata hai. yaha par 5 shlok with meaning likhe gye hain aap inko easily read kr skte hain kyunki hame sanskrit itni easily samajh nahi aati hai aap in lyrics ko padhkr aur shlok ka meaning bhi samajh sakte hain.

Is somvar ko stotram ka paath karein aur bolein " Har Har Mahadev"



 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें