🌟Mahadev ki Mahima
Bhagwan Shiv ko Devon ke Dev Mahadev kaha jaata hai Unka smaran karne se paap door hote hain aur man mein shanti aati hai. Somvaar ka din Mahadev ko samarpit hai, Is din shiv bhakt shivalay jaakar shivling ki pooja archana aur jal arpit karte hain.
Mantra jaap Shiv bhakti ka sabse pavitra roop hai.Yahaan hum laaye hain Top 5 Shiv Mantra in Hinglish, Jinhe roj jaap karne se aapko man ki shanti, swasthya aur safalta prapt hoti hai.
🌸Mantra 1: Panchakshri Mantra
"Om Namah Shivaay"
Meaning:
Main Shiv ko naman krta hooon - Yeh panchakshri Mantra sabse pavitra aur shaktishaali hai. Iska jap karne se man aur atma dono shuddh ho jaate hain.
History:
Yeh mantra Shiv Purana aur Yajurveda(sri Rudram Adhyaya) se liya gaya hai. Ye panchakshari Mantra ke naam se bhi jana jata hai.
Purano ke anusaar, is mantra ka jap sabse pehle Rishi Markandiya ne kiya tha, jab unhe bhagwan Shiv ne mrityu se bachaya tha, Tab se yeh mantra moksha aur suraksha ka prateek ban gaya.
Benefits:
- Dukh, paap aur chinta door hoti hai
- Man mein shanti aur postivity badhti hai
- Shiva ke ashirwad se jeevan mein safalta milti hai
- Man ko pavitra karta hai
- Shiv aur paarvati dono ka ashirwaad deta hai
Jab unki umar keval 16 saal ki thi, tab bhagwan Shiv ne unhe mrityu se bachaya tha aur yeh mantra diya tah. Isiliye isse Mrityu par vijay pane wala mantra kaha gaya.
- Rog aur bhay se raksha hoti hai
- Aayu badhti hai aur man shant rehta hai
- Mrityu ke samay bhi bhay door hota hai
"Om Tatpurushaya Vidmahe Mahadevaya Dhimahi Tanno Rudrah Prachodyat"
History:
Yeh mantra Yajurveda aur Rudra Gayatri Stotra se aaya hai. Rudra ka matlab hai - jo sab kuch tod kar naye roop mein rachna kare( destruction + creation).
Is mantra ka Uchharan Rishi Vishwamitra ke samay se hota aaya hai, jahan ise atma suddhi aur divine enlightenment ke liye use kiya jaata tha.
Benefits:
- Atma ko Pavitra karta hai
- Man aur buddhi ko divya banata hai
- Sadhak ko moksha ke marg par le jaata hai
- Negativity se mukti
- Buddhi aur vivek mein vriddhi
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें